jpg231978
Feeling of Heart
2016-02-28 04:42:14 (UTC)
Ab aur kya mangu tujhse rab..
Ab aur kya mangu tujhse rab mere,
Jo bhi diya Wajib hi Diya,
Uske Kharch Jyada the ,
Use aur Lalach diya,
mera sabra jyada tha,
Mujhe sukoon jyada diya
Ab aur kya mangu tujhse rab mere,
Jo bhi diya Wajib hi Diya,
Jinhone uchaiyan mangi,
udane ko khula aasman diya,
hamne Husn e jindagi mangi,
hamein jine ka junoon diya
Ab aur kya mangu tujhse rab mere,
Jo bhi diya Wajib hi Diya,
Jinhone aish e jindagi mangi
unhe kabr e tajmahal diya
hamne dilon me mukam chaha
hamein mohabbat bepanah diya
Ab aur kya mangu tujhse rab mere,
Jo bhi diya Wajib hi Diya
Ad: