alka

personal
2014-05-14 15:40:02 (UTC)

Manzilein bhi teri thi. Aur rasta bhi tera tha

Manzilein bhi teri thi.
Aur rasta bhi tera tha
Ek tera pyaar paa lu,
Bas yahi sapna mera tha.
Mere sath rehne ki kasam bhi teri thi.
Fir akela chhor jane ka khayal bhi tera tha.
Haatho me hath lekar
Mujhe hasaane ki soch bhi teri thi.
meri aankhon me aansu dene ka
Silsila bhi tera tha....
Mein kyu yaha tanha reh gya?
Mera dil sawaal karta hai...
Kismat to teri thi...
Par kya khuda bhi tera tha?
Khuda bola:
Use yaar bnane ki galti bhi teri thi.
Us par yakeen karne ka khayal bhi tera tha...
Use kyu gham hoga tere jane ka?
Sacha pyaar uska nhi..
Sacha pyaar to sirf tera tha.....!!




Ad: