mohsin70979

Urdu Poetry
2013-04-07 11:00:26 (UTC)

Poetry2

Raaton ku utt kar, sapno'n se ho kar, khayaalo'n me kho kar tumhe kya khabar hai Apne Khuda se Me kya mangta hoon
Tum to kahon gay sanam mangta hoon jaanam mangta hoon
Tum to kahon gay kisi dilruba ki kisi dilnasheen ki wafa mangta hoon
Yeh bhi ghalat hai, wo bhi ghalat
Me apne Khuda se Adam k baitay ki Aankhon se jaati Haya mangta hoon
Me Hawwa ki baiti ki sir se utarti rida mangta hoon
<--->
Hum huay Tum huay k Meer huay
Uski zulfoo'n k sub aseer huay
<--->
Nisar me teri galio'n k Ay watan k jahan
Chali hai Rasm k koi na Sir Utta k chalay
<--->
Wo baat Saare fasaney me jis ka zikar na tha
Wo baat unko bohat Nagawaar guzri hai
<--->
Na Tha Charagh To Ghar He Jala Diya Apna
Ghareeb-e-Shehar Ne Tehwaar To Manana Tha
<--->
Rahiyye Ab Aisi jaga chal kar jahan koi na ho
Hum sukhan koi na ho aur Hum zubaa'n koi na ho
<--->
Wo Aaine ko bhi hairat me daal deta hai
Kisi kisi ko Khuda yeh Kamaal deta hai
<--->
Ye moajza bhi mohabbat kabhi dikhaye mujhe
k sang tujh per gire aur zakham aaye mujhe
mein apni zaat mein nelam ho raha hoon Qateel
gam-E-gayat se keh do khareed laye mujhe
<--->
Yaadon ki aseeri se rihaa kyon nai hota
Woh mujhse bichar kar bhi juda kyon nahi hota
<--->
Yeh batain kitabi yeh nazmain purani
na inki haqiqat na inki kahani
na likhna inhe na mehfooz kerna
yeh jazby hain bus inko mehsoos kerna
<--->
Yeh merey ghar ki udaasi se dar gai shayad
Lipat kay mujh se galay ro rahi hai tanhai
<--->
Aansoo mere tham jaye to phir shoq se jaana
Aise me kaha jaaoge barsaat bouhat hai
<--->
Meri Ghurbat Urati Hai Mere Fun Ka Mazaq,
Teri Dolat Ne Tere Aiab Chupa Rakhe Hain
<--->
Be Ghar Hua Hoon Jab Se To Aaram Hai Mujh Ko,
Barsat Mein Chat Girne Ka Ab Dar Nahi Hota
<--->
Zindagi Ke Safar Mein, Gardishon Ki Dhoop Mein
Jab Koi Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa
<--->
Ye chaman zaar yeh jamuna kaa kinara yeh mahal, yeh munaqqash dar-o-diivaar ye maharaab ye taaq
Ek shahanashaah ne daulat kaa sahaaraa le kar ham Gariibon kii muhabbat kaa udaayaa hai mazaaq
<--->
Mar Bhi Jaoun To Kahan log Bhula hi Dain Gay
Lafz Mairay,Mere Honay Ki Gawahi Dain Gay
<--->
Har ek baat pe kehte ho tum ke tuu kia hai
Tumhi kaho ke ye andaaz e guftugu kia hai
<--->
Na Jaa Us k Tahammul par k hay Be-Dhab Garift Us Ki
Darr Us ki Der-Geeri se k hay sakht Intiqam Us ka
<--->
Teri Saadgi Ka Husn Bhi Lajawab Hai
Mujhe Naaz Hai K Tu Mera Intikhaab Hai
<--->
Laghzishon se Mawra Tu bhi nahin, Me bhi Nahin
Dono'on Insaan hai, Khuda Tu bhi nahin, Me bhi Nahin
<--->
Khulta kisi pay kya mery dil ka Muamla
Shairon k intekhab nay ruswa kia mujhay
<--->
Yaqeen Muhkam Amal Paiham Mohabbat Faateh-e-Aalam
Jehaad-e- Zindagaani Mein yeh Hain Mardon Ki Shamsheerain
<--->
Gaahe gaahe ki Mulaqaat hi achhi hai Meer
Qadr kho deta hai , har roz ka aana jaana
<--->
Chand Tasveer-e-Butaa'n, Chand Haseeno K Khutoot
Baad Marne K Mere Ghar Se Yeh Saama'n Nikla
<--->
Is Baar Jo Eindhen K Liye Kut K Gira Hai
Chirryo'n Ko Bada Pyaar Tha Us Boodhe Shajar Se
<--->




Ad: