alka

personal
2012-02-22 12:08:15 (UTC)

Yu To Chand bhi Bhatakta hai Rat Bhar

Yu To Chand bhi Bhatakta hai Rat Bhar
Me jo Bhatak gaya to Bat kya

Sari Duniya Roti hai Chup kar
Me jo thoda Ro liya to Bat Kya

Har Kisi Ko Talab hai Pyar Ki
Maine thoda Soch liya to Bat Kya

Roshni ki Chah to sab ko hai
Maine thoda Andhera mang liya to Bat kya

Zindagi k is Haseen Khwab me
Maine Use mang liya to Bat Kya

Har kisi ne Mehfil ko Chaha Yaha
Maine Tanhai ko Chaha to Bat kya

Yu to Chand bhi Bhatakta hai Rat bhar
Me jo Bhatak gaya to Bat kya ! ♥




Ad: