alka

personal
2011-09-07 06:00:16 (UTC)

1 BACHPAN ka ZAMANA tha

‎1 BACHPAN ka ZAMANA tha
khushiyo ka khazana tha

Chahat Chand ko pane ki,
DIL titli ka Diwana tha

khabar na thi Subah ki,
Na Shaam ka thikana tha

Thak-haar k ana school se,
Par khelne b jana tha.

Barish me kagaz ki kashti thi,
Har Mousam suhana tha.

Har khel me Sathi the,
Har Rishta nibhana tha.

Gam ki juban na hoti thi,
Na jakhmo ka paimana tha.

Rone ki wajah na thi,
Na hasne ka bahana tha.

Ye Kahan aa gaye?
"Wo Bachpan hi suhana tha"




Ad: