mvajalaun

Pantomath
2018-07-19 04:08:08 (UTC)

Message to KK bhai

Bhai, mera kuchh bhi MBA jaisa nhi hai. na to mujhse class m bola jata hai aur na mujhe kuchh samajh aata hai. Engineering k londo ko mujhse jyada economics aati hai. Organisational Behaviour ki ma'am pata nahi kaun se level ki english bolti hai. uske words pata chalte hai ki kya bol rahi hai but, unki meaning nahi pata to kya ho sakta hai. yahan aisa bhi nhi hai ki thoda time nikaal k khud k liye bhi padh lo. Upar se CV ka drama chalta rehta hai.pure 420 k batch m 2-3 logon ko chhod k sabka CV 1.5-2 pages ka hai jisko kam karake 1 page ka banwaya ja raha hai.un 2-3 m bhi ek launde ne khud k chacha k college se graduation ki hai to jitne chahe utne certificates banwa sakta hai. Aur ek ladki hai to uske papa school k principal hain. par mera 0.25 page ka CV hai. Haalat itni kharab ho chuki hai ki kisi se baat karne m bhi normal feel nhi krta hu. Class m sabko pata hai ki mai chutiya hu lekin mujhe isse bhi koi lena dena nhi hai agar mujhe improvement k liye time diya jaye to. Ab to ye sab aapko batane m bhi darr lagta hai qki ab solution se jyada meri galtiyo ki list khul jati hai. m sab kuchh thik kar sakta hoon par yahan thoda bhi time nahi dete. time se assignments hote hai chahe tum thik ho ya na ho. Quantitative Methods ka teacher bahut hi ajeeb graphs aur pata nhi kya padhata hai aur londe usse doubts clear karne k liye rukte hai par mujhe uska time kaatna bhut bhaari padta hai aur darr laga rehta hai ki kahin kisi graph ka matlab na puchh le. Agar kisi din puchh liya to use pata chal jayega ki isko pehle din se aajtak kuchh samajh nhi aaya. maine b.com(h) kiya hai to londo ko lagta hai isko sab kuchh aata hai to doubts clears karne mere paas aate hai par ulta mujhe samjhake jana padta hai. Beijjati to ho hi rahi hai lekin kuchh profit nhi ho raha hai is insult ka. kal ek teacher ne mera majak uda diya tha to puri class 5 minute tak hasi aur mera naam bhi english rakh diya (class m teacher ne puchha ki nagaland m kitni languages boli jati hai to maine bol diya tha english ). Jab skit hua to ma'am ne bhi bataya ki sabse bekaar mere group ka gaya hai aur group k londe bhi bol rahe the ki tumhare wajah se kharab hua hai. kal final CV submit karne ka deadline hai aur mujhe samajh nahi aa raha ki jitne bhi points maine jhooti dale hain unko hata doo ya bana rehne doo. Agar hata deta hu to CV qualify nhi karega aur agar nhi hatata hu toh supporting documents nhi hain. gaaliya dono hi taraf se milni hain. Quantitative methods k teacher ne ek assignement diya hai jisko maine 4-5 baar padha lekin kuchh pata nhi chala aur waki londo ne solve karke submit bhi kar diya. roommate ko bhi pata hai ki mujhe kuchh nhi ata to usne to puchhna chhod diya hai aur dusro se bhi bol deta hai ki mera padhna farzi hai. m ye sab aapko isliye bata raha hoon taki aap mujhe reply m ye na bolo ki m tumse bolta tha ki bolna seekho, ye seekho, wo seekho. Ab mujhe sirf ye pata hai ki ab change aana ki gunjaais nhi bachi. Jin logon ko dekh ke kabhi baat karne ki himmat nhi padti thi ab unke saath padh raha hu kaise jhel paunga. Accountancy ka teaacher bhi aisa mila hai ki ab mujhe accounting bhi nhi aati. accountacy ka ek paper hua 25 marks ka usme se maine 5 marks ka sahi kiya hai aur waki 20 aisa hi dawadol stithi m hain. Kal Business Computing ki quiz hai jiska class m aajtak kuchh bhi samajh nhi aaya. sab londo ne jaldi jaldi 11 chapters complete kar liye but m abhi 3rd kar raha hoon aur raat k 3 baj gye hain. Mujhe pata hai ki jitna bhi bura hone wala hai mere hi saath hoga. Jab m class m bolta hoon to sabko meri awaaj funny lagti hai jiski wajah se unhe lagta hai ki ye GD m kuchh nhi kar payega aur ye baat bhi sahi hai qki unko har industry k baare m mujhse jyada knowledge hai. Hamein simulations perform karni padti hain jaise ki maggi case , wo tumhe nestle ka ceo bana ke stage pe baitha denge aur saamne puri class ko journalist bana denge fir journalist tumse question karenge aur tumhe aise satisfactory answer dene hain jisme tumhari job bhi na jaye aur company ki reputation bhi bani rahe. maine ek company k liye apply kiya tha but mera CV dekh ek senior bola ki mat jao warna gate se laut ke aana padega. yahan kisiko koi matlab nahi hai ki tum kaha se aaye aur isse pehle kaise m rehte the bas competent nahi ho toh sympathy k alawa kuchh nhi milta. ye sab cheeje yahan matter nhi karti. ab aapko ye batane ka bhi koi matlab nhi banta ki maine galat time m MBA join kiya. Maine aapko bataya tha ki sahi tarika kya hai MBA join karne ka. Lekin clear ho gaya to join karne ka koi matlab nahi banta. Aapko lag raha hoga ki m andar se darr raha hu isilye ye sab hai lekin yahan m hi akela hoon jo iss level pe hoon. 10th aur 12th m 90 lana aur ramjas m padhna koi bhut badi achievement nhi hai jab tumhare batchmates 97 wale ho aur IITs se padhne k baad 10-25 lakh ka package chhod ke MBA karne aaye ho. In logo Microscopic level pata hai ki ek company m kya hota hai. kal ki quiz k liye apne roommate ko maine 2 chapters padhaye the aur ab wo pura complete karke bhi so chuka hai. aur m abhi bhi 4th chapter pe hu. meri in sab cheejo ka solution halka lene m nahi hai. Agar m ye bhi soch loo ki chhodo sab ho jayega tab bhi teachers tumse class m explanation maangte hain. Economics bhi samajh nhi aa rahi hai aur londe mere paas seekhne ki ummeed m aate hain. Kitna bhi apna muh dusri taraf kar loo par ye to nahi ho sakta ki mere exams 2 hafte baad na ho. Yahan har ek cheej ka bhut hi formal procedure hai jisse bach ke nhi nikal sakte. Agar kisi kaam k liye bola hai to karna hi padega deadline se pehle. Aaj medical leave leli to doctor k paas 2 baar jana pada medical certificate k liye aur ab us certificate ko pgp office se approve karake ek-ek professor ko milne jana padega. M aapse bas ye bolna chahta hu ye ki meri jindagi ka ekdum ulta pehlu hai. Aur college tak to kuchh same quality wale londe mil bhi jate the par yahan wo bhi nhi hai. college m to kuchh nhi hota tha par yaha teacher harek cheej ka hisaab rakhte hain ki kisne class m kya kiya tha. 2 camera laga rakhe jiski regualar unke class ki videos teachers ko send ki jaati jiske basis pe valuation hota hai. Maine itna lamba meassage likha qki m aapko phone pe ek-ek cheej nhi samjha sakta aur aapne aajtak jis cheej ko professionality bola wo introversion tha. Agar aapko thoda aur jaanna hai to traits of an introvert padhna aur traits of an extrovert phir difference pata chal jayega. phir shayad aap meri condition samajh paye. Agar tab bhi samajh m na aaye to iss meassage pe koi bhi reply mat karna aur na hi kabhi bhavishya iss message se related baat karna. Hamesha aise pretend karna jaise ye conversation kabhi hui hi nahi. Mujhe nahi pata ki m iss phase se kaise niklunga aur mere paas koi hai bhi nahi jisko m ye sab bata saku phir chahe aap kuchh bhi bolo. Magar iss baar poora soch samajh k bolna qki m madad k liye bhut desperate hoon. Mujhe aapke pravachan nhi chahiye aur na hi mujhe apni kamiyan ginwani hai. Bas mujhe ye nhi pata ki mand budhhi, introvert jaise log IIM ko kaise survive karte hain. Is poore message m kahi pe bhi gussa dikhane ki jarurat nhi hai. ye bastwikta hai jo koi manjoor nhi karega magar beet rahi hai to to mujhe pata hai. SC category se admission mil gya, ab laude lag gaye college pahuch ke.....................................................................................................................................
Na so raha hu, na khana achha hai, na koi sahi se baat karta hai, na meri himmat hoti hai baat karne ki, na koi CV improve karane m interested hai. Agar sahi m koi ilaaj ho to batana, bina gussa huye qki koi fayda nhi hai ab gussa hone ka jab sab kuchh ho chuka hai. Subah uthke sabse pehle mujhe hi reply karna thoda sochne samjhne k vaad. Call mat karna qki m call nhi le paunga kal. Kal classes k baad exam hai fir Mentor k paas jana fir uske baad placement committe k paas jana hai. fir 7:30 pe Social Transformation of India ki class hai jo 9 baje tak chalegi. Certificates k liye maine Rajiv ko photos fill karke bhej diye hain.




Ad: