Kirankkb.kgp

Kiran.kkb
2018-01-08 17:58:03 (UTC)

Sher

1} Tumhari yaadon me khooya rehta hun,
Pata na tha duniya me aur bhi log hai.
2} Hum waha aapki khabar lene paunche..
Aap to waha pehle se khade the.
3) Aadhi zindagi kat gayi sach ko talashte~talashte,
Aur aadhi kat rahi hai khud ko sambhalte~sambhalte.
4) Ab to samay ko hi gale se lagate hai,
Unn khusiyon ko ankhein band kar yaad kar jate hai.
5) बचपने को हम कबका पीछे छोड़ आये,
ये यादें ही बची रही जिसे साथ ले आये ।
6) Aaj humne duniya ka safar kar liya,
Mehboob ke aankhon mai humne Mohabbat dekh liya.
7) Socha na tha yeh manzar paunga,
Pyaar manga tha, pata nhi tha tere deedar hi aake mar jaunga.
8) Yeh zaamane me mujhse dukh dekha nahi jaata.
Mai aashiq hun behan dard mujhse saha nahi jaata.
9) Kitne din guzar gaye tujhe dekhe huye,
4 deewaron mai phasa hun, bohot waqt hogaya yaha se nikle huye.
10) Meri saansein bhi kitni junnoni hai,
Malal kuch nahi jo itni maghrori hai.
11) Tum kya janno meri khawaishon, meri mannaton, meri haasraton ko.
Yeh wahi dard hai jissay paal raha hun kabse aur tum be~fikar bhul baithi unn afsaanon ko.
12) Shayar bada chalak hota hai.
Jazbaat ko alfaaz ka shahra de deta hai
13) Tum kya jani iss aashiq ka haal chal
Lehra lehrake chalti ho, humhe sochti ho bhol bhaal
14) Ab mere aur tumhare bich ke darmiyan hata bhi do
Itna din se jo bolti nhi wo aaj bata bhi do.
15) Tumhare aane se hi mera hona hai
Tumhare na hone se jo mera roona hai
16) Pyaar mein agar qaraar ho to be~misaal hota
Jahan ho na thoda bhi aitbaar to bawaal hota.
17) Kuch gurbat, kuch khalvat hokar kategi
Yeh do din ab rukshaat hokar kategi.
18) Subah ki roshni jab aankhon mai aa giri
Tab jakar milne aayi khwaboon mai tum meri.
19) Husn~e~talab ke aagosh mai kaisa khoya rehta
Tum jo nashe si chadti to mai madhosh sooya rehta.
20) Hum na hote to na jaane mehfil ka kya hota
Jo rehte nahi aap jaise yaar to waah waah kon kehta 🙏🏻
21) Yun jo zulf khule hai tumhare to hawa mai lehrayga
Yeh dil mera pehle se hi tha pagal, tumhe dekh pighal jayega.
22) Uss khoobsurat haseen ko itna to koi payaam de humara
Aakhri ek khwaish iss aashiq ki puri to kare to jarur.
23) Aae ishq tera dard aaj bhi utna daarawna hai
Be dhadak se chalte huye khalish me fashana hai.
24) आँखों मै उनके अपने वजूद को निहारता हूँ
ये वो यार है जिन्हें खुद से बढ़कर मानता हूँ ।
25) Dard agar ho to uska zaahir ho
Zehar kabhi na sishi ke baahir ho.
26) Husn ne kaisa hasra kiya logo ka
Numaish ho kisi ki aur ghayal haal kisu ka.
27) Yaha aur bhi ranj hai zindagi mai palne ke liye
Kyun hum mauka de 'ISHQ' ko khudko tabha karne ke liye.
28) MERE HOTHON SE NIKLI HAR DUAA MAI SHUMAAR HOJAO

KUCH AIESE CHAR JAO KI TA~UMR KHUMAAR HOJAO.
28) Saara Zamaana jab nayi khusiyon ko talaash raha tha
Mai maazi mai jhakte huye khud ko taraash raha tha.
29) Zameen mai chalna chahu to aasman pukarti mujhe
Aasman ki oar jana chahu to zameen khich lati mujhe.
30) Ashq~dar~Ashq munjamid hokar mere andar sooye huye
Ek sailab hai bharra hua, ek arsa hua mujhe rooye huye.
31) मैं यूँ ही मीलों तक बेवजह खींचा चला जाता हूँ
उसके अलविदा से बहुत ऐतराज़ होता है ।
32) Liafafe mein kaid alfaaz ke manne mere paas hi reh gaye
Yeh sitam aapka hain jo urdu zuban nahi aaya.
33) Jhoote dilaso se humare dil behalte nahi
Kisi aur pe azmaya gaya chal humpe chalte nahi 😎.
34) Wo itni nafrat se milte hai mujhe,
Jaise kabhi mohabbat thi hi nahi
35) क़ातिलाना अदाअों को देख ज़ख़्म~ए~सर हो गये
तेरे यार थे कभो, अब क़दरदर हो गये ।
36) Mai chahta toh ussay Gulaab deta
Magar, lekin bhala Gulaab ko kya Gulaab deta
37) Ek dehleez kya hum paar kar aaye
Samundar intezar mein jo dariya tehr aaye.
38) Hai yeh kaisa raabta apne darmiyaan
Kuch tum ho, kuch hum hai aur yeh jahaan ki tanhayiaan.
39) Ek din ke khatir humari nazrein udhar leke dekho
Khud se kaisi hoti hai mohabbat, wo bhi karke dekho.
40) Kisi aur se ho mohabbat to iqtella karna
Ae mehboob pehle tum alvida karna.
41) Agar barbad hone ka likha hoga to hone do
Magar azeem banne ke khatir thoda sa khone do.
42) Muddaton baad khud se guftugoo karne ka sukhoon mila aaj
Khoyi hasti ko inn naazaron me talaashnne ka junoon mila aaj .
43) Bus ki dhundli padhi khidki se dekha akhri manzar yaad rahega
Nam aankhon ko wo nadi, khet~khaliyan aur baahar yaad rahega.
44) Bada ajeeb sa lagta hai apno ko alvida kehna.
Hum muhajir, bhool jaate hai khud pe kaabu rakhna.
45) मुहाल हालातों में खुद को हीरे सा तराशना होगा
जन्नत तक के सफर में दोज़ख़ से गुज़रना होगा
46) Hum gamzada log, har waqt sher kehte hai
Tum rukshaat hui, tabhi faqat sher kehte hai
47) Teri badan ki likhawat padta hun aayat ki tarah
Khusnumha lagne laga hai veeran, kisi rahaat ki tarah
48) Guzar jate hai lamhe toh guzarne do unhe
Har ek lamha kaise jeete hai, wo jeena sikho
49) थोड़ी सी तर्बियत से मग़रूर हो गये हौ
लगता है ग़ैरो से मिलना~जुलना बढ़ गया ।
50) Dil ke chalo ko alfaazo se aakar karte hain
Apne tajurbat ko auron pe nisaar karte hain




Ad: