Kirankkb.kgp

Kiran.kkb
2017-12-04 08:58:17 (UTC)

Shayari on LOVE

1) Jab bhi kissisay dil lagata hun,
Humesa me haar jaata hun..
Dil ki baatein sabdo se likhu mai,
Hardam kisi na kisise dil lagata hun..
Pyaar ki baaton me bharosa karta hun,
Tabhi to sabi se dil lagata hun....
Jab bhi kissisay dil lagata hun,
Ek baar aur haar jaata hun 😌


2) Tumhari inn reshmi baalon se mai yuh hi khelta jau..👩
Nashili tumhari inn aankhon me fir dub jaun... 👁
Tumhare komal se gaalon ko mai apne haathon se saihlau.. 🤗
Tumhare gulabi hothon ko mai apne hothon se milao...😘
Haath tumhara pakadke har kadam mai sath nibhao.....👫

Bas,
Afsos itna sa hi hai, yeh ek sapna tha....
Iss sapne ko mai kaise bhul jaun 🤦🏻‍♂

3) sooyi rehti ho neend me tum humesha
Uthate rehta hun tumhe mai,yeh yaad rkho ...
Muskhara lo mere liye baby kaha miligi mujhe tum jaisa

4) Subah subah tumhari taswir dekhi, dil ko sukhoon si chaiyi....
Subah subah tumhari taswir dekhi, dil ko sukhoon si chaiyi..........

Raat ko humse ruthti ho kyu, ab humne bahut ghum hai paayi ✍🏻

5) Pyaar ko baadnam na karo janam, yeh hai mushkil..
Hum jaise aashiquo ka ghar chalta hai issay.
Dua yun karo ki pure jaag mai pyaar bana rahe.
Dua yun karo ki pure jag mai pyaar bana rahe. .
Iss pyaar ki kadar karo, sabko nhi milti aur mil jaati to lagta sab krli hai haasil ❤❤

6) Tumhari yaadon mai zinda hun...
Tumhari khwaaboon me hi dubba hun....

Bas ek bar kehke to dekho...
Sirf tumhare liye hi mai yaha ruka hun...

7) Raato ko JaGAkar....
Humein yun TarPakar!!!
Neendo ko BhulaKar....
Unke Taswir ko sene se Laga kar...
Baithe hai hum unke yaad me......
Aur
wo soo rhe hain wo bhi Bahane BaNAkar..

8) Ishq ne mje kis mod pe la khada kar diya.....
Dil kab dhadak ta hai, kab tham jata hai... Yeh kya kar diya...
Waqt bhi sth nhi diya, na hi pyaar ne... Ishq ne mje kis mod pe la khada kar diya...
Aashiq tha kabhi tera.
Aaj is gaam ne muje shayaar bana diya.

9) Intezar kar raha hun mai tumhare aane ka.... (2)
Tanhaai bas chaiye hai aur koi jawab nhi hai uski jane ka...
Waqt kaat nhi rha hai aur mushkil badh rha hai...
Kb aaogi tm,yeh tanhai ko hataogi tm...
Tm hi to eklauti wajah ho mere muskurane ka... :-) :-

10) Tumhari yaad mai kore kagaz ko bharte jaati hun.
Yaadon ko sirf kagaz ke paano tak hi rakh paati hun..
Apne pyaar ka izhaar iss tarike se hi kar payi..
Tum mere hojao yehi khuda se maangti hun....

11) Aksar aiesa hi hota hai.
Pyaar hi Insaan ko dobba le jaata hai...
Tumne to bahut pyaar dikha diya,
Humne to ussay nibhaya hai.

12) Ussay dekha to khud ko na sambhal paaya, mera dil phisal para.
Kabhi uski khoobsurti mai to kabhi uski khwaboon mai hi uljha raha.

Kisi roz nikal padha usike khaayalon mai, socha na tha jo wo hogaya.
Dekh liya kissi aur ke sath usko to mann hi mann mai roo para..

13) Aiesi konsi khatta hogayi ki humari thodi si bhi yaad nhi aayi.
Lagta hai aap humhe bhul sa gayi.
Sunna hai sache dil se mangne par sab milta hai, Fir bhi dua me aap kyu nahi aayi...

14) Aiese na jaaya karo humare naazaron se,
Bewajah humhe itna na tarpaya karo..
Meri aur tumhari raat mai bas fark itna sa hai,
Tumhari soo ke guzri hai aur humari roo ke guzri hai..

15) Mohabhat humara pesha to nahi, junnon hai.
Humare jaise aashiq ka yahi fitoor hai.
Kaha jaogi khojne zaamane mein.
Aap to humhe yuhi manzoor hai 😘😘

16) Naa to mujhe tera ghurror chaiye na hi tere sapne.
Naa to mujhe tera jism chaiye na hi tera paise.
Nahi karunga kabhi teri tauhin..
Chahiye to mujhe tera hi pyaar.
Apni hasraton ko puri karne ka khwaab rakhta hun, mujhe to sirf tera jawaab chahiye....

17) Dard ka yeh aalam jaldi se katta nahi hai,
Tanhai se bhara hua hun, yeh jo bojh hai mujhse aur uthta nahi hai.
Ghussa me aakar aiese judaa hote nahi hai.
Bahut der hogayi hai ab unke aane mai,
Yeh ghari ka kaata hai ki aldi se bhaagta kyu nahi hai.

18) Tumhe kisi aur ke sath dekh kar jalne sa laga,
Hasta tha kabhi, ab to mayoos hone laga,
Dhoka lagta hai mujhe tumhara yeh raang,
Yeh to mujhe bewafai sa laga.

19) Dua hai mera PYAAR zamane mai bana rahe,
Aashiqo ke dil me humesha uski lau jalta rahe.
Mere liye yeh zehar hi sahi,
Tumhare jiwan me yeh PYAAR sada rahe...

20) Ladne padte hai kuch jang pyaar paane ko.
Maine bhi ladda tha, kya khoob arra tha..
Tera aur mera saath manjoor na tha shayad iss dastur ko,
Ab yaadon mai khoya chumra hun teri us khat ko... 😘

21) Sunnah~Sunaah sa lagta hai yeh shamaa ; tere bina
Dawatein bhi adhuri reh jaati hai ; uss meethi si daat bina
Laut ke aao na sahi magar apni khabarain bhej dina ; kaisi ho humare bina...

22) Humne aapko dil me ek jagah de rakha hai, wo bhi kiraye liye bina.
Ab iska matlab yeh nahi ki aap uss ghar me kabhi aao hi nahi..

23) Mujhe to uss waqt hi mohabbat ho gaya,
Dupatta tera jab udte~udte aya aur mere chehara chup gaya.

Teri khusboo meri zehan mai hai aaj tak,
Somwar se saniwar hogaya,
Fir bhi mooh nahi dhoya hun mai ab tak.

24) Saansein, Zindagi, Akeli Raatein jab tak chalegi ; rahega tera khayaal
Kuch kahi kuch unkahi reh gaye hai mere mann mai sawaal
Maaf karna Zalaal kuch tere the ya kuch mere the
Muddat ul umr tak reh jayega iska mujhko malaal.

25) Aaj bhi tera hi naam mere search engine me kyu aata
Laakh kosish karlu fir bhi kyu nahi hatta
Tune diya nahi hi kiraya kitne dino se
Fir bhi yeh bill hai ki mere hi naam pe fatta.

26) Yun to faasle kam hai magar udasi baithti hai
Ussay uda bhi nhi sakta, jaise koi titli baithti hai
Uske chehre ki rangaat, uske hothon se nikle hue alfaaz kaise samjhu.
Class me jo wo mere aage baithti hai...

27) Mai agar aag hota hun to tum paani jaisi shant ho gayi
Mai toofan ki tarah aafat hun to tum meri raahat ho gayi
Gaal kabhi mere ho aur hoth tumhari
Mai kitna bekarar hun mehboob ki ab khalvat jo gayi.

28) Tarrife sunne ka ab adaat sa lag gaya
Kameez ke button khule rakhne ka bahan mil gaya
Badi mushkil se dariya paar kar aaya hun
Zara dekhna kahi mere kashti mai zang lag gaya

29) Mere aankhon me dekh pyaar bhara samundar dikhega
Doob mat jaana tere naam ka safeenah dikhega
Ek muddat bad aayi hai thode der thear jaa
Aage teharke tujhe kinara dikhega.

30) Ishq ka nasha aaj chaya hai
Har jagah lagta tumhara hi saaya hai
Tum kidhar ho, tum dil me ho
Na hona tumhara mujhko sataya hai.

31) Sirf dil se nikalre mere alfaaz yeh
Baatein nhi hai mere jazbaat yeh
Yeh dhadkane bhi tere naam ke naare lagata
Hawaayen nhi mera pyaar ka toofan yeh.

32) Toofano se mai ubhar ke aagaya
Lehro se mai lad ke aagaya
Aasman ko chirne ka manzar rakhta hun
Mujhme bhi thoda bahut pyaar aagaya.

33) Nasha~e~dawa ke wajeh se yeh jazbaa nikal aaya
Dekh ke tumhe bewaffa logo ka ghuroor nikal aaya
Yuhi dil se poocha maine uska haal
Jawaab mai bhi aapka naam nikal aaya.

34) Tum iss aashiq ki baaton ko to samjho pyaar ho jaayga
Dil se dil milakar to dekho aitbaar ho jaayga
Ruhaani si tum ho, pagal sa thoda mai
Seene se lagakar to dekho yeh samay jldi paar ho jayga.

35) Dil jab toota ho to mushkuraya kaise jayga
Daagh laga hua chunri ko chupaya kaise jayga
Dilo~jan mai tum tab bhi thi, aaj bhi ho
Dawaa banke aayi ho tumpe ungli uthaya kaise jayga.

36) Kuch tumhare aur mere bich darmiyaan aagayi
Aafsane purane sochkar muskaan aagayi
Kehne ko to bas ek kaahani hi reh gayi
Mohaabat ka zikr hote hi tum mere zubaan aagayi.

37) Uske aarmanon ko jalta hua chingar de diya
Bhoola~bhala banda ko ishq ka bukhar de diya
Kisi aur ke naam se kuch iss tarah chidaya
Ab ussay bhi pyaar ka waar de diya.

38) Tum dekhna hawayen saazish kar humhe milane aayegi
Hum maar bhi jaaye to humari qabr ki mitti tumhe chumne aaygi
Andhere se jo darta raha hai mann tumhara
Befikar rehna humara khayaal andhere se bachane aayegi.

39) Mujhse mohabbat ka zikr karke sawaal kiye hazar
Badi adaab se mangi shaame maine do chaar
Nikal le apne naam ka matlab tu hazar.

Mere liye rahegi pyaar ka matlab tu hi mere yaar.

40) Subah se bhuka,
Dopehar ka thaka,
Shaam se bhatka,
Raat ka jagaa hun mai

Kisi ki umr lagi hai lagta mujhe, har lamhe me aatka hun mai.

41) Kaash!!! Mai tumhe uss nazar se dekh pata
Jis nazar se pehli daffa dekha tha
Kaash tum waise hi dikhti mujhe aaj bhi
Ek rang~o~suraat ki wo ladki jiska sirf saaya dekha tha.

42) Chahta hun tumhe, tumhari ek nazar ke liye
Dekhte honge sab tumhe sirf ek pehar ke liye
Maine logon ki aankhon mai dekha hai tumhare liye
Khanjar hai wo nighaen naa jaane kidhar ke liye.

43) Kaam karta hun, pehla nahi toh aakhri kehlau ahd mein
Tumhe aaj fir se naye naam se nawaazu ahd mein
Gul~badan~o~janemaan ek aiesa misal bante hai dono
Tumhare aashiqo ke ferisht mein apna parcham udau ahd mein.

44) Mohabbat kiya tha jo, ab kya batana hoga
Wo jaa rahi hai durr, shayad ussay jaana hoga
Ab khat mai nhi likhenge pyaar bhare nagme
Yeh bhi daur aana tha, ab dostana hoga
Badde magroor hai naye daur ke shayar
Lagta hai sukhanwaro'n ko neend se jagana hoga




Ad: